Mere Liye Tum Kaafi Ho - Shubh Mangal Zyada Saavdhan | LYRICS



Ayushmann Khurrana

Lyrics

"Mere Liye Tum Kaafi Ho"




Teri meri aisi jud gayi kahaani

Ke jud jaata jaise do nadiyon ka paani
Mujhe aage tere sath behna hai



Jaana tumhein to hai teh bata jaani
Ke aye zindagi kaise banti suhaani
Mujhe har pal tere sath rehna hai



Tu kuchh adhoore se
Hum bhi kuchh aadhe
Aadha aadha hum jo dono mila dein
To ban jaayegi apni ik zindgaani



Yeh duniya mile na mile humko
Khushiyan bhaga dengi har gham ko
Tum sath ho phir kya baaki ho
Mere liye tum kaafi ho



Mere liye tum kaafi ho
Mere liye tum kaafi ho



Ek aasmaan ke hain hum do sitare ke
Ke takraate hain toot’te hain bechare
Mujhe tumse par yeh kehna hai



Chakke jo do sath chlte hain thode to
Ghisne ragadne mein chhilte hain thode
Par yoon hi to kat’te hain kachche kinaare



Yeh dil jo dhala teri aadt mein
Shaamil kiya hai ibaadat mein
Thodi khuda se bhi maafi ho
Mere liye tum kaafi ho



Mere liye tum kaafi ho
Mere liye tum kaafi ho
Mere liye tum kaafi ho





Comments

Popular posts from this blog

Paisa - Super 30 | LYRICS

Total Dhamaal Theme - Total Dhamaal | LYRICS

Jugraafiya - Super 30 | LYRICS